koi hamnasheen he na raazdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahaan
nahi kholi mene magar zubaan
ye akela pan, ye udaasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan
_________________________
Main aadmi aam sa,
Ik qissa natamam sa.
Na lehja bemisaal hai,
Na baat mai kamal hai.
Hoon daikhnay mai aam sa,
Udassion ki shaam sa.
Jaisay ek raaz hon,
khud se be-niaz hoon.
Na mehjabeeno se rabt hai,
Na shuhratoon ka khabt hai.
Ranjha, na Qais hoon,
Insha na Faiz hoon.
Mai pakar-e-Ikhlas hoon,
Wafa, Dua aur Aas hoon.
Mai shaks khud-shanas hoon,
Ab Tum hi kro faisla.
Mai aadmi hoon aam sa,
Ya Phr boht hi “KHASS” hoon
________________________________
Shakeb apnay taaruf kay liay ye baat kafi hy
ham uss say hat ky chaltay hain jo rasta aam ho jaye.